Monday, December 26, 2011

Andaz

Andaz apne dekhte hai aaine me woh,
Aur yebhi dekhte hai ke koi dekhta n ho.

Sunday, December 25, 2011

Koi aanchal

Yeh mere aasu jinhe koi pochne wala bhi nahi,
Koi aanchal enhe milta to sitare hote.

anjaam-e-wafa

anjaam-e-wafa ye hai, jisne bhi ki mohobbat
marne ki dua maangi , jeene ki saja paayi.

Aag Dil Ko Lage

Shaam Furqat Dhale, Hum Nahi Chahate,
Gam Se Fursat Mile, Ham Nahi Chahate.....

Phir Naya Waar Sehne Ko Taiyyar Hain,
woh Pareshan Rahe, Ham Nahi Chahate.....

Aaj Ansoo Bahane se, Mat Roko,
Aaj Baris Thame, Ham Nahi Chahate.....

Hum unke Baad Ujde Hon, To Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lage, Ham Nahi Chahate.....

unke chehre ko hum dekhte rahen
unse nazar hate hum nahi chahte.....

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Gam Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate.....

Keh do Unse Iss Qadar Pyaar se Woh Pukara na Karen,
Aag Dil Ko Lage, Ham Nahi Chahate.....

Friday, December 23, 2011

Uff

Uski Har "Uff" pe hum apni jaan lutate rahe,
Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe,
Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka,
woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe

aayina

~*~hum aayina unhe jo dikhaane pe aa gaye
pal bhar meiN un ke hosh thikaane pe aa gaye~*

Thukra ke mujhko

Thukra ke usne mujhko,

kaha ki muskuraao!

Main bhi has diya,

aakhir sawal uski khushi ka tha.

Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,

Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.

Dard me koi mousam pyara nahi hota,

Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.

Koi dekhe to humari bebasi,

Hum usi ke huye jate hain

Par vo humara nahi hota.

bechaniyaa iss dil ki

jab ye gum, ye tanhaai, ye jazbaat honge;
zahan me pukhtasar, hamare khayalaat honge.

pukaar lena, ya aawaz de dena hume;
sanam har rehguzar me, hum tere saath honge.

ulajh ke reh gaye jo zindgi ki tareh;
laboo pe sehme-sehme se, vahi sawalaat honge.

jo gungunaaye the kabhi, pyar me humne;
gam-e-hizr ko nazar, vahi nagmaat honge.

bechaniyaa iss dil ki, samjhoge ussi pal;
jis pal tumhare, humse haalaat honge

bikhar jaon to

Aks-e-khushbo hon bikharnay se na rokay koi
Aur bikhar jaon to mujh ko na samaitay koi

Kaanp uth'ti hon yeh soch k tanhai mein
Meray cehray pe tera naam na parh lay koi

Jis tarah khawab meray ho gaye reza reza
Is tarah se na kabhi toot k bikhray koi

Main to us din se hiraan hon jab hukam milay
Khusk phoolon ko kitabon mein na rakhay koi

Ab to is raah se woh shaks guzarta bhi nahi
Ab kis umeed se darwazay se jhankay koi

charag -e -Dil

Fasla to hai magar koi fasla nahi
Mujhse tum juda sahi dil se to juda nahi

Aasmaan ki fikr kya Aasmaan khafa sahi
Aap yeh bataiye aap to khafa nahi

Kashtiya nahi to kya hosla to paas hai
Keh do na khudao se tum koi khuda nahi

Lijiye bula liya aapko khayal men
Ab to dekhiye hame koi dekhta nahi

Aaiye charag -e -Dil aaj hi jalaye hum
Kesi kal hawa chale koi janta nahi

mohabat hoti hai, ya nahi hoti

mohabat me sawal ki jagah nahi hoti
mohabat me kabhi zabardasti nahi hoti

beech ka safar mumkin hi nahi hota
mohabat ya hoti he, ya nahi hoti

use kar do apne dum par apna kayal
sawaloon se kabhi mohabat nahi hoti

majbooriyaan bhi hoti he kabhi kisi ki
mohabat hoti to he, magar nahi hoti

pane ki chah se, mohabat na karna
mohabat ko pana hi, mohabat nahi hoti

waqt ka bereham sitam, abhi khilaf he
"Doston" iss phalsafe pe, zindagi khatam nahi hoti

Thursday, December 22, 2011

Har Dua Me

Kab Ho Qubuliyat Ki Ghadi Naa Jane
Tumhe Har Dua Me Maangna Chahta Hoon

Ho Jao Tum Meri Aur Mein Tumhara
Har Pal Bas Yahi Ehsaas Chahta Hoon

Tum Se Hi Ki Bas Mohabbat Mein Ne
Apni Saari Zindagi Sang Tumhara Chahta Hoon

Haq Ke Sath Kahun Tumhe Mein Apna.
Tum Se Bas Mein Aaj Yahi Raza Chahta Hoon.

ijazat dey doo

Khud ko dil main basaney ki ijazat dey doo..
Mujh ko tum apna bananey ki ijazat dey doo..

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha hoo..
Phoolon se khud ko sajaney ki ijazat dey doo.

Main kitna chahta hoon kis tarhan baataon tumhain..
Mujhey yeh aaj batanaey ki ijazat dey doo..

Tumhari chand si ankhon may chand sa chehra..
Mujhe yeh shaam sajaney ki ijazat dey doo.....

Mujhe Qaid ker lo apney dil main...
Yaa mujhey khud Qaid kerney ki ijazat dey doo.

याद आए कौन

दर्द अपनाता है पराए कौन,
कौन सुनता है और सुनाए कौन।

कौन दोहराए वो पुरानी बात,
ग़म अभी सोया है जगाए कौन।

वो जो अपने हैं क्या वो अपने हैं,
कौन दुख झेले आज़माए कौन।

अब सुकूँ है तो भूलने में है,
लेकिन उस शख़्स को भुलाए कौन।

आज फिर दिल है कुछ उदास उदास,
देखिये आज याद आए कौन।

Wednesday, December 21, 2011

एक लम्हा बहुत है

मैं कब कहता हूँ वो अच्छा बहुत है,
मगर उसने मुझे चाहा बहुत है।

खुदा इस शहर को महफ़ूज़ रखे,
ये बच्चो की तरह हँसता बहुत है।

मैं हर लम्हे मे सदियाँ देखता हूँ,
तुम्हारे साथ एक लम्हा बहुत है।

मेरा दिल बारिशों मे फूल जैसा,
ये बच्चा रात मे रोता बहुत है।

वो अब लाखों दिलो से खेलता है,
मुझे पहचान ले, इतना बहुत है।

इस से पहले कि बेवफा हो जाएँ

इस से पहले कि बेवफा हो जाएँ
क्यूँ न ए दोस्त हम जुदा हो जाएँ

तू भी हीरे से बन गया पत्थर
हम भी कल जाने क्या से क्या हो जाएँ

हम भी मजबूरियों का उज़्र करें
फिर कहीं और मुब्तिला हो जाएँ

अब के गर तू मिले तो हम तुझसे
ऐसे लिपटें तेरी क़बा हो जाएँ
(क़बा=ड्रेस)

बंदगी हमने छोड़ दी फ़राज़
क्या करें लोग जब खुदा हो जाएँ

qafila ho jaoon ga

Apne har har lafz ka Khud ayina ho jaoon ga
Us ko chota kah ke main kaise bara ho jaoon ga

Tum girne may lage the tum ne socha hi nahi
Main gira tu masla ban kar khara ho jaoon ga

Mujh ko chalne do akaila hai abhi mera safar
Rasta roka gya tu qafila ho jaoon ga

Sari dunya ki nazar may hai mera ahad e wafa
Ek tere kahne se kya main bewafa ho jaoon ga

is baras barsaat na hue..

Koshish to ki thi bahut mene per mulakat na hue
Afsos hai ki un se kabhi baat na hue..

Duniya to khub so rahi hai hoke be khabar
Meri bahut dino se magar rat na hue....

Chup ho gaye ashkon ko mere dekh kar wo log
Jo kah rahe the is baras barsaat na hue..

Likkhi hai kitni ghazle humne unki yad me
Magar afsos unse dil ki bat na hue..

Acha Lagta Hai

Who Apni Hai Ya Begani Acha Lagta Hai
Do Pal Us Kay Saath Bitana Acha Lagta Hai

Roz Bahane Kar Ke Usse Milne Ko Jata Ho Kyu Ki
Ik Jhalak Bhi Uski Pana Acha Lagta Hai

Kahne Ko Jab Chahoon Haan Kar Degi Wo
Lekin Phir Bhi Uska Na Khana Acha Lagta Hai

Uski Baat Kuch Alag Hai Mujh Ko Kuch Bhi Kah Lay
Ashiqe Pagal Ya Deewana Acha Lagta Hai

Usko Log Shama Kahte Hain Musrakati Hai Wo
Mujh Ko Kehte Hain Parwana Acha Lagta Hai

Rishta Hai Na Jane Mera Us Say Kia
Mere Khawabo Me Bhi Uska Aana Acha Lagta Hai

Tuesday, December 20, 2011

Hum pyaar me maut maang kar aaye hain

Apni chahat ki ye dastaan laaye hain,
Log zindagi me pyaar maangte hain,
Hum pyaar me maut maangkar aaye hain,

Chaha hai unhe jaan se jyaada,
Maanga hai unhe saanson se jyaada,
Aaj lekar unki khushion ka khuda se vaada,
Unke aansun meri aankhon se bahen,
Ye dua maangkar aaye hain,
Hum pyaar me maut maangkar aaye hain,

Har dhadkan me awaaz unki aati hai,
Har jhalak me tasveer unki bas jaati hai,
Har saans me mohobbat unki beh jaati hai,
Unke bina jeene ki himmat to thi,
Bas unke liye marne ki kismat maangakar aaye hain,
Hum pyaar me maut maangkar aaye hain,

Ae khuda unhe tujhse pehle poojte hain,
Unke chehre me tera akhs dhundte hain,
Teri meher unpe barasti rahe,Ye arzoo dil me rakhte hain,
Is arzoo ke liye khushi haar ke aaye hain,
Hum pyaar me maut maang kar aaye hain,

Ab to apne anjaam ka intezaar hai,
Unki khushi ke liye mujhe khuda pe aitbaar hai,
Chahat unki aaj bhi hume beshumaar hai,
Par unki muskaan ke badle me
Apne haath ki lakirein badal kar aaye hain,
Hum pyaar me maut maang kar aaye hain,

Log zindagi me pyaar maangte hain,
Hum apne pyaar ki kushi k liye
Kisi or ki mohobbat unke liye maangkar aaye hain,
Hum pyaar me maut maangkar aaye hain,

Hum apne liye us khuda se maut maangkar aaye hain....

Samunder Thehar Gaya

Bigda Mera Naseeb Toh Sab Kuch Sanwar Gaya
Kaanton Pe Mein Gira Aur Zamana Guzar Gaya

Toofan Se Thak Ke Maine Patwaar Chhod Diya
Jab Doob Chuka Main Toh Samunder Thehar Gaya

Tukde Tere Wajood Ke Phaile The Mere Paas
Unko Sametne Me Mera Wajood Bikhar Gaya

Manzil Ko Dhundta Tha Musafir Yeh Kya Hua
Ek Rehguzar Pe Uska Safar bhi Bichhad Gaya

Dhalne Lagi Hai Raat Chalo So Jaao
Mujhko Bhi Dhundhna Hai Mera Ghar Kidhar Gaya

Wednesday, December 14, 2011

Ajeeb shakhs tha

Ajeeb shakhs tha kaisa mizaaj rakhta tha,
Paas reh ker bhi mujhse ikhtelaf rakhta tha,
Usay shayad kisi aur se mohabbat thi,
Humse se tu bas yunhi mazaq rakhta tha...

aankhon mein pani nahin rakhta....

Bicher jana tu os k liye maenay nahin rakhta,
Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta,
Rota nahin ya use rona nahin aata,
Sungdil hai ya phir aankhon mein pani nahin rakhta....

Tuesday, December 13, 2011

guzaarish nahi hogi

Bhooley sai kabhi unki nawaazish nahi hogi
Khuddaar hain hum sai bhi guzaarish nahi hogi

Hum wo hain jo har derd chupa letey hain dil main
Hum sai kabhi zakhmon ki numaiish nahi hogi

Iss dil main kisi aur ka gham terey alawa
Yeh jurm hai hum sai tou yeh saazish nahi hogi

Likha hun ghazal apni tamanna ke lahoo se
Kya gham hai jo sheron ki sataaiish nahi hogi

Jiss dil main faqat Aarzo_e_ yaar bastey hai
Uss dil ko kisi aur ki Khuwahish nahi hogi

Nahi likhta

Main bewafai par nahi likhta.
Aur mai sochta hoon ki mai
Unki ruswai par nahi likhta.
Khud Apne se zyada bura,
Is Zamane mai kaun hai.
MaiN isliye doosron ki burai par nahi likhta.

Kuch to aadat se majboor hai
Aur kuch fitraton ki pasand hai
Zakham kitne bhi gahre ho
Main unki duhai par nahi likhta

Duniya ka kiya hai,
Har haal mai ilzaam lagati hai.
Varna kiya baat ki
Mai apni safai par nahi likhta

samundar ko parkhne ka,
Mera nazariya hi alag hai yaaro.
Mizazon par likhta hoon,
Main uski gahrai par nahi likhta.

Paraye dard ko mai gazlon mai,
Mahsoos karta hoon.
Yeh sach hai mai ,
sazar se fal" ki judai par nahi likhta.

Tazurba unki muhabbat ka,
Na likhne ki bajah bas ye hai..
Ki Shayar ishq mai,
Khud apni tabahi par nahi likhta

Chahta Hoon

Iss Baar Kuch Aisa Mein Chahta Hoon
Unko Apna Banaana Chahta Hoon

Bhula Kar Apne Sab Gham
Unhe Dilse Apnana Chahta Hoon

Unhe Unki hi Ijazaat Se
Apne Dil Mein Basana Chahta Hoon

Apne Naam K Saath Joar Kar Unka Naam
Duniya Ko Sar-E-Aam Dikhana Chahta Hoon

Kab Ho Qubooliyat Ki Ghari Na Jaane
Unhe Har Dua Mein Mangna Chahta Hoon

Ho Jaayen Woh Mere Aur Main Unka
Harr Pal Bas Yehi Ehsaas Chahta Hoon

Unse Hi Ki Bas Mohabbat Main Ne
Apni Sari Zindagi Unke Sang Bitana Chahta Hoon

Karta Hoon Aaj Doston main Ye Iqraar
Main Bass Unhe Bass Unhe Hi Chahta Hoon

Haq Ke Saath Kahoon Unhe Main Apna
Unse Bass Aaj Main Yehi Raza Chahta Hoon

kamnasib

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila Hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob milgaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar Mila Hai

Gham nahi mujhe ki Dushman hua yeh zamana
Jab Pyaar Hi Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hai

Sab Kuch Khuda Ne Usko Bhala Kaise De Diya
Mujh Ko Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila Hai

kuch chandni si batain hon

Zara sa qatra kaheen aj agar ubharta hai
Samandron hi k lahje may bat karta hai

Khuli chaton k diye kab ke bujh gye hote
Koi to hai jo hawaon k par kutarta hai

Sharafton ki yahan koi ahmiyat hi nahi
Kisi ka kuch na bigaro to kon darta hai

Zameen ki kaisi waqalat ho phir nahi chalti
Jab asman se koi faisla utarta hai

Tum aa gye ho to phir kuch chandni si batain hon
Zameen pe chand kahan roz roz utarta hai

जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है

उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है

नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है

थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटे
सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है

बहुत बेबाक आँखों में त’अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है

सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है

मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है

एक क़तरे को समुन्दर नज़र आयें कैसे

अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपायें कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक नज़र आयें कैसे

घर सजाने का तस्सवुर तो बहुत बाद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचायें कैसे

क़हक़हा आँख का बरताव बदल देता है
हँसनेवाले तुझे आँसू नज़र आयें कैसे

कोई अपनी ही नज़र से तो हमें देखेगा
एक क़तरे को समुन्दर नज़र आयें कैसे

अम्मा

अम्मा


चिंतन दर्शन जीवन सर्जन
रूह नज़र पर छाई अम्मा
सारे घर का शोर शराबा
सूनापन तनहाई अम्मा

उसने खुद़ को खोकर मुझमें
एक नया आकार लिया है,
धरती अंबर आग हवा जल
जैसी ही सच्चाई अम्मा

सारे रिश्ते- जेठ दुपहरी
गर्म हवा आतिश अंगारे
झरना दरिया झील समंदर
भीनी-सी पुरवाई अम्मा

घर में झीने रिश्ते मैंने
लाखों बार उधड़ते देखे
चुपके चुपके कर देती थी
जाने कब तुरपाई अम्मा

बाबू जी गुज़रे, आपस में-
सब चीज़ें तक़सीम हुई तब-
मैं घर में सबसे छोटा था
मेरे हिस्से आई अम्मा

asar ho raha hai mohabbat ka aaaj phir

asar ho raha hai mohabbat ka aaaj phir
aaj phir main nagme gungunaane laga hun
pahle main darta tha mohabbat k khel se
ab phir se baazi lagaane laga hun
jiski talaash thi mujhe hamesha
kya tum sachmuch wahi ho
tumhe dekhta hun toh lagta hai
kii kaahin tum khwaab toh nahi ho
bas pad lo meri aankhon main mohaabat apne liye
labon se keh saku itni himmat ab nahin hai
todna mat mera dil jo tumko diya hai
is baar jo main bikhra toh phir judna mumkin nahi hai

aadat ho gaye hai

Dard main bhi muskrane ki aadat ho gaye hai
Es tarha jeena ki bhi adat ho gaye hai
Logo ko humhey rolane ki aadat ho gaye hai
Humhey bhi muskra ka jawab dena ki aadat ho gaye hai
Logo ko humhey tarpaney ki aadat ho gaye hai
Humhey Bhi aag ki tarha jalney ki aadat ho gaye hai
Jis per kare barosa wohi barosa tor ka ja raha hai
Barosa bhi mithi ki tarha hath se pisalta ja raha hai
Dil bhi ab toot ka bicharta ja raha hai
Har kio es dil per hast-e-muskrate ja raha hai
Ab dil bhi toot ka bebas ho cuka hai
Ab to dil ko bhi tootney ki aadat ho gaye hai
Toot ka itna roye ka khoon ka aanso bahe
Ab To aanso-e-laho bahney ki bhi aadat ho gaye hai
Roz Roz Marney ki tamana kartee hai per mout nehi ate
Ab to tariq ko bhi mar mar ka jeena ki bhi aadat ho gaye hai

mushkil bahut safar lagta hai

chup reh kar hi har gum sehna"
"har dum aansu aankho se behna"
"dard ho to bhi muh se na kehna"
"mehfil mai bhi tanha rehna"
"deewaron se mil kar rona"
"hoton ko bhi silkar sona"
"tera hokar bhi na hona"
"mera na hokar bhi hona"
"kitna mushkil tha ye sapna"
"jisko maan lia tha apna"
"usse nata kaise tute"
"chahe wo the kitne jhoote"
"laikn unko pyar kiya tha"
"sab kuch apna waar diya tha"
"ab wo humse door hue hain"
"hum bhi to majboor hue hain"
"dil zakhmo ka ghar lagta hai"
"ab manzil se darr lagta hai"
"pav main chale itna hain ke"
"mushkil bahut safar lagta hai"
"mushkil bahut safar lagta hai"............

Ishq ke phool

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

jab chaha bhula diya

kitna ikhtiyar tha us ko apni chahat pe,
jab chaha yaad kiya jab chaha bhula diya,
janta tha wo mujh ko behlane k hr andaaz
jab chaha hansa diya jab chaha rula diya,
dil b us ka tha pyar b us ka tha
jab chaha mera nam likha jab chaha mita diya.

dil dharkne ko muhabat ka nam dete ho?

na koi subha na koi sham dete ho
dil dharkne ko muhabat ka nam dete ho?
roz chale aate ho khuwab main mere
in ankho ko na aik pal aaram dete ho
hum se na poucho kbi hmara haledil
ghairon ko har roz salaam dete ho
hum ne yaad rakha is leye mujrim thehre
shayad bhul jane pe tm inam dete ho

Friday, December 9, 2011

Mohhabat Ka gum hota bahut Hai

Mohhabat Ka gum hota bahut Hai,
Ke ab Ye Lafz Bhi Ruswa bahut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kya Bataun?
Gali Kochon Mein sannata bahut Hai,

Na milne Ki qasam Kha Ke Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bahut Hai,

Ye Aankhein Aur Kya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bahut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hain Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bahut hai…

naam mera

"mehfil main beshaq wo hame bhool jate honge"
"magar tanhai main to hum zarur yaad aate honge"

"pehle sitamgar ban kar kiya dil ko zakhmi"
"ab yaad kar apne sitam ko ashq bahate honge"

"main mit na sakunga un ke dil se kabhi bhi yaaro"
"wo likh kar naam mera baar baar mitate honge"

"jab koi daakiya guzar jata hoga un ke aagay se"
"na jane kaise wo phir apne dil ko samjhate honge"

talabgaar hum nahi

Mana unki nazar mein unka pyaar hum nahi,
kaise kahen ki unke talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab unki raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki unke gunahgaar hum nahi.....

musaafir ne jaane kahaan raat ki

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...

basar

ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty
eik lamha tery bina basar kar nahi sakty


woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty


khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty


yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty


tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty


yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
is noor k darya par nazar kar nahi sakty


har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty


ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say
ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain..

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain

Woh na aaye tou satati hai khalish si dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain

Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain

Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say bayaan hoti hain

Zindagi ek sulgati si chita hai `doston'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nighaon say bayan hoti hain

paani sharaab kar donga

"sisakti rutt ko mahakta gulaab kar donga"
"main is bahar main sab ka hisaab kar donga"
"main intzaar main tu koi sawal to kar"
"yakin rakh tujhe lajawab kar donga"
"lakh pardon main khud ko chupa ke rakh"
"ik na ik din tujhe benaqqab kar dunga"
"mujhko ye yakin ke mehfil ki roshni hoon main"
"usko ye darr mehfil kharaab kar donga"
"mujhko botal ke ander hi band rehne de"
"warna sare shahar ka paani sharaab kar donga"

Thursday, December 1, 2011

Ranjish hi sahi

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.......
Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa .........
kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.....
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa

Aisa lagta hai zindagi.

Aisa lagta hai zindagi....
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon...
Aasmaanon-ki chandni tum ho
Ab koi aarzoo nahin baaki.........
justajoo meri aakhri tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!........
Kis zamaane ke aadmi tum ho?

unke haathon ki lakiiron mein

woh kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
unke haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko woh apnaa banaye ya na banaye unki Khushi
woh zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
unki mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam unka lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...

Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai

Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bhi kahte hain mujhe ki tu deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil unke ke hote huye viraana hua hai ....
Bajte hain Khayaalon mein unki yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...

dil ki duniya

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit saka na zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida