Tuesday, January 31, 2012

sumander to sumander hai

khamosh lehjey mere hamqadam kabhi bola nahi kertey

dard e gham ko her kisi k samney khola nahi kertey

mohabbat to mohabbat hai bari anmol hoti hai

mohabbat ko tarazu mein kabhi tola nahi kertey

khamosh rehne per koi ilzam mat dena

sumander to sumander hai kabhi bola nahi kertey .

BICHADNA JAB MUQADDAR THA

BICHADNA JAB MUQADDAR THA TO MILTE KESE?.......
PHOOL SEHRAON ME BHLA KHILTE KESE?...........

BHUT CHAHA K BHULADOON NAAM UNKA MAGR...
ZALIM MERI ROOH ME BASE THE NAIKALTE KESE?...

uski yad aaty hi

zamany say suna tha k Mohabbat haar jati hai
jo Chahat ek tarfa ho wo Chahat haar jati hai

kahein par dua ka ik lafz bi asar karjata hai
kahein barsoon ke ibaadat haar jati hai

hamein kitne bhi shikwe hon us ke jafaoon k
par us k samny har ik shakayt haar jati hai

arzoo hai k usko bhool jaein hum
par uski yad aaty hi ye hasrat haar jati hai

koi kandha nahi daita …

Mohabbat k safar mai koi bhi rasta nahi daita
Zameen wakif nahi banti,Falak saya nahi daita

Khushi/gham ke mausam sab ke apne hote hain
Kisi ko apnay hissay ka koi lamhaa nahi daita

Udaasi jis k dil mai ho usi ke neend urthe hai
Kisi ko apni aankhon say koi sapna nahi daita

Uthana khud he parta hai thaka tuta badan apna
Ke jub tak sans chalte hai koi kandha nahi daita …

USKA MILNA DUSHWAR BAHUT HAI.

JISKI JHLAK ME KARAR BAHUT HAI,

USKA MILNA DUSHWAR BAHUT HAI.

JO MERE HATHO KI LAKEERO PE NAHI,

US SHKS SE MUJHE PYAR BAHUT HAI.

JISKO MERE DIL KA RASTA BHI NAHI MALOOM,

PHIR BHI DHADKANO KO USKA INTZAR BAHUT HAI.

YE HO NAHI SAKTA O MUJHKO BHULA DE,

KYA KARU MUJHKO UNPE AAITBAR BAHUT .

tanahaaii kaa ehasaas

ab na vo shor na vo shor machaane vaale
Khaak se baiTh gaye Khaak uraane vaale

dil sa vahashi kabhi kabu mein na aya yaron
haar kar baiTh gaye jaal bichhaane vaale

terii qurbat mein guzaare huye kuchh lamhe hain
dil ko tanahaaii kaa ehasaas dilaane vaale

shart-e-aadamiiyat

kahiin dekhii hai shaayad terii suurat is se pahale bhii
ki guzarii hai mere dil pe ye haalat is se pahale bhii

na jaane kitane jalve pesh-rau the tere jalvon ke
tujhii se baarahaa kii hai mohabbat is se pahale bhii

sunaatii hain koii afasaanaa terii sahamagiin nazaren
huii hai mujhase gustaaKhaanaa jur'at is se pahale bhii

merii qismat ki main is daur mein badanaam huuN varnaa
vafaadaarii thii shart-e-aadamiiyat is se pahale bhii