Tuesday, May 17, 2011

aashiqii be-dilii se mushkil hai

aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai
ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai
ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai
jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai
ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai
[sahel=approachable]
tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai

jajbaat poonch raha hai

khud ke girebaan me woh jhankta nahi
aur mujhse meri aukaat poonch raha hai

insaniyat hi dharam woh samajhta nahi
aur nasamajh meri jaat poonch raha hai

gale mil rahe log pyar badhane ke liye
phir bhi woh meri laat poonch raha hai

aaj jo hansne ko na mila use kahin
to woh mere jajbaat poonch raha hai

main to waise hi haara hua hu har jagah
jaane kyon woh meri maat poonch raha hai

door rahe hain jo mujhse humesha,woh
unke baare me khayalat poonch raha hai

aye khuda tere paas ho to de de jawab
ki koi mujhse kya baat poonch raha hai

"ashish"

joota kaat"ta hai

kanare ko kanara kaat"ta hai
SahARE ko sahara kaat"ta hai

Bada hi tanzia lehja hai uska
Vo baaton se kaleja kaat"ta hai

Sirf hmen hi dukh nahi deti ye gareebi
Ameeron ko bhi paisa kaat"ta hai

Jinhe kuch zyada hi shook hota hai safar ka
Unhi paaron main joota kaat"ta hai

machliyon ko bhi paani se jalan ho gayi hai

banduke taan kar desh ye kahte hain
ki ab humari baate naram ho gayi hai

apni jaroorat ko to kate sabhi ne pedh
ab kahte hain dharti garam ho gayi hai

sanskaar bhi humare nikhre hain aise, ki
baccha kahe woh meri sanam ho gayi hai

kholi jis kisi ne sab netaon ki pol, to ab
sab ko uski saanso se kudhan ho gayi hai

mail sara baha rahe samandar me log, ki
machliyon ko bhi paani se jalan ho gayi hai

"ashish"

zra deer lgagi

Khushiyo ke tarane main zra der lgagi

Rodhe hou mnane main zra der lgagi

Tum samne aa jaao tou aankho main bidha lou

Tasveer bnane main zra deer lgagi

Tumne jo isharro main jo baat kahi thi

Vo baat bhulane main zra deer lgagi

Ye darde jiger to mere apno ne diya hai

Ye dard chupane main zra deer lgagi

Tohmat ka lgana to bada aasan hai lekin

Izzat bachane main zra deer lgagi

Basti ke jlane ko tou ek pal hi bhut hai

Basti ko bachane main zra deer lgagi

Beta mera ghar ke liye pardesh gaya hai

Mayyat ko udhane main zra deer lgagi

Ye tasveer purani hai

Jangal jangal bhoka aalam, sehroon main veerani hai

Phir bhi mere mustakbil ki, Har tasveer suhani hai

Kartaab ka nakam maadari, Kuch oche hatiyaar liye

Baari baari dekh rha hai, Kis mai kitna paani hai

Poote ne dada ki album, Ye kehker bahar rakh di

Mera album nya nya hai, Ye tasveer purani hai

platform

platform bhi hai ajeeb jagah
samete har rang zindagi ka
chahe dekh le tu sharafat
ya koi nazara darindagi ka
jo leni ho zindagi ki jhalak
to aa ja...ye platform hai

railgadi aati yahan kuch aise
zindagi me koi mauka jaise
jo pakada,nayi manzil ki bahar
warna agle mauke ka intezaar
jo seekhna hai jeene ka tareeka
to aa ja....ye platform hai

chahal pahal hoti har pahar
jaise basa ho yahan koi shahar
par log yahan bhi nahi hote ekmat
platform to deta hai sabko ek chhat
jo seekhna ho samta ka paath
aa ja..ye platform hai

kisi gadi ki bheed
aur kisi se kam nahi
yahan ki bhagdaud
zindagi ki daud se kam nahi
har gadi ki taraf lagti ek daud
seedha rasta na koi mod
jo seekhna ho daudne ka tareeka
aa ja...ye platform hai

har koi yahan bheed me khoya hua
koi jaag raha koi chain se soya hua
koi hai bheed ke beech
koi hai akela yahan
koi rahta yahan sukoon se
kisi ka koi jhamela yahan
jo dekhna ho jindagi ke pahlu
aa ja ...ye platform hai

kahin hain judai ke aansu
kahin hai milan ki chamak
koi kha raha hai roti namak
kahin hai pakwan ki dhamak
dikhega jamane ka har antar
aa ja...ye platform hai

ye samete hue hai
kai shahar apne andar
sabko deta aasra
kya aadmi kya bandar
ye to sabko deta barabar ka mauka
insaan hi hai jo yahan bhi karta dhokha
seekha hai maine bahut kuch isse
aa ja...ye platform hai

"ashish"

platform

platform bhi hai ajeeb jagah
samete har rang zindagi ka
chahe dekh le tu sharafat
ya koi nazara darindagi ka
jo leni ho zindagi ki jhalak
to aa ja...ye platform hai

railgadi aati yahan kuch aise
zindagi me koi mauka jaise
jo pakada,nayi manzil ki bahar
warna agle mauke ka intezaar
jo seekhna hai jeene ka tareeka
to aa ja....ye platform hai

chahal pahal hoti har pahar
jaise basa ho yahan koi shahar
par log yahan bhi nahi hote ekmat
platform to deta hai sabko ek chhat
jo seekhna ho samta ka paath
aa ja..ye platform hai

kisi gadi ki bheed
aur kisi se kam nahi
yahan ki bhagdaud
zindagi ki daud se kam nahi
har gadi ki taraf lagti ek daud
seedha rasta na koi mod
jo seekhna ho daudne ka tareeka
aa ja...ye platform hai

har koi yahan bheed me khoya hua
koi jaag raha koi chain se soya hua
koi hai bheed ke beech
koi hai akela yahan
koi rahta yahan sukoon se
kisi ka koi jhamela yahan
jo dekhna ho jindagi ke pahlu
aa ja ...ye platform hai

kahin hain judai ke aansu
kahin hai milan ki chamak
koi kha raha hai roti namak
kahin hai pakwan ki dhamak
dikhega jamane ka har antar
aa ja...ye platform hai

ye samete hue hai
kai shahar apne andar
sabko deta aasra
kya aadmi kya bandar
ye to sabko deta barabar ka mauka
insaan hi hai jo yahan bhi karta dhokha
seekha hai maine bahut kuch isse
aa ja...ye platform hai

"ashish"
Majboor halaat aur dil-e-nadan se ladna seekha tha
gham-e-sagar mein usne mere sath tairna seekha tha

Bade shauk se mujhe apna shagird bolta hai wo
jisne kabhi padhkar meri kitaabein bolna seekha tha

Gir padta tha kabhi to kabhi thaam leta tha mera haath
raah-e-zindgi mein usne meri ungli pakadkar chalna seekha tha

Yun to khilte the gul aur patjhar bhi aate the mausam mein
sunkar mere alfaz usne zindgi se muhabbat karna seekha tha

Uski yaad ab dil-e-gustakh se jaati nahi shail
mere saath milkar jisne khwab dekhna seekha tha

Thode kabotar kaid rakhe aur thode kabotar chood diye

Baccho ke par baand ke usne boodho ke par khool diye

Kaid main rehker jab bhi humne joshe_junoo se kaam liya

Usne humko sadiya deker lamho ke par khool diye

ishq tha use mujhse is shikayat ke sath
meri ek nazar ne use badnaam kar kiya

chalna uske sath yu raas aaya tha mujhe
ki raahon ko hi maine mukaam kar diya

accha lagta tha auro ko jalta dekhkar,jab
apni baahon ko usne mere naam kar diya

yu to samadar bhi kuch na tha mere liye,par
julfo se giri ek boond ne kaam tamam kar diya

jadugari uske aanchal ki bhi ajeeb thi
ki kadi dhoop ko sunahri shaam kar diya

bewafaai se kam nahi hota ishq ka sukoon
apno mohabbat ko maine ye paigaam kar diya

ab kis tarah jiyoo, ab kis tarah maroo
jeene mein tu nahi, marne mein tu nahi

ek katra

Kya dukh hai samander ko bta bhi nahi sakta

Ansu ki tarha aankh tak aa bhi nahi sakta

Tou chood raha hai muzhko to teri khata kya

Har shaks mera saath nibha bhi nahi sakta

Aese to ek katra hi baha le jaayga muzhko

Vaise koi tufaan hila bhi nahi sakta

dukh fasaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

dukh fasaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n
dil bhii maanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

aaj tak apanii bekalii kaa sabab
Khud bhii jaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

ek tuu harf_aashnaa thaa magar
ab zamaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

be-tarah dil hai aur tujh se
dostaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
aab-o-daanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa

dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa 
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa 

ab ise log samajhate hai.n giraftaar meraa 
saKht nadiim hai mujhe daam me.n laanevaalaa 

kyaa kahe.n kitane maraasim the hamaare is se 
vo jo ik shaKhs hai muu.Nh pher ke jaanevaalaa 

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa 
aaj tanhaa huu.N to ko_ii nahii.n aanevaalaa 

muntazir kis kaa huu.N TuuTii hu_ii dahaliiz pe mai.n 
kaun aayegaa yahaa.N kaun hai aanevaalaa 

mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalate 
hai ko_ii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa 

kyaa Khabar thii jo merii jaan me.n ghulaa hai itanaa 
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa 

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz' 
dost hotaa nahii.n har haath milaanevaalaa 

dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaa_iyaa.N bhii ho.n

dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaa_iyaa.N bhii ho.n 
mar jaa_iye jo aise me.n tanhaa_iyaa.N bhii ho.n 

aa.Nkho.n kii surKh lahar hai mauj-e-suparadagii 
ye kyaa zaruur hai ke ab anga.Daa_iyaa.N bhii ho.n 

har husn-e-saadaa lau na dil me.n utar sakaa 
kuchh to mizaaj-e-yaar me.n geharaa_iyaa.N bhii ho.n 

duniyaa ke tazakire to tabiyat hii le bujhe 
baat us kii ho to phir suKhan aaraa_iyaa.N bhii ho.n 

pahale pahal kaa ishq abhii yaad hai 'Faraz'
dil Khud ye chaahataa hai ke rusvaa_iyaa.N bhii ho.n 

chhe.De mai.n ne kabhii lab-o-ruKhsaar ke qisse

chhe.De mai.n ne kabhii lab-o-ruKhsaar ke qisse 
gahe gul-o-bul_bul kii hikaayat ko nikhaaraa 
gahe kisii shahazaade ke afsaane sunaaye 
gahe kyaa duniyaa-e-paristaa.N kaa nazaaraa 
mai.n khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaa.N me.n 
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa 

baraso.n yuu.N hii dil_jamii-e-aurang kii Khaatir 
sau phuul khilaaye kabhii sau zaKhm Khariide 
mai.n likhataa rahaa hijv baGaavat manshuu.n kii 
mai.n pa.Dhataa rahaa qasr_nashiino.n ke qasiide 
ubharaa bhii agar dil me.n ko_ii jazabaa-e-sar_kash 
is Khauf se chup thaa ke ko_ii ho.nTh na sii de 

lekin ye tilismaat bhii taa der na rah paaye 
aaKhir mai-o-miinaa-o-Daf-o-chang bhii TuutTe 
yuu.N dast-o-garebaa.N huaa insaan-o-Khudaaband 
nakhachiir to ta.Dape qafas-e-rang bhii TuuTe 
is kashmakash-e-zarraa-o-anjum kii fizaa me.n 
kash_kol to kyaa afsar-o-aurang bhii TuuTe 

mai.n dekh rahaa thaa mere yaaro.n ne ba.Dhakar 
qaatil ko pukaaraa kabhii maqtal ko sadaa dii 
gahe rasn-o-daar ke aaGosh me.n jhuule 
gahe haram-o-dair kii buniyaad hilaa dii 
jis aag se bhar_puur thaa maahaul kaa siinaa 
vo aag mere lauh-o-qalam ko bhii pilaa dii 

aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaa_ii 
ab fan meraa darbaar kii jagiir nahii.n hai 
ab meraa hunar hai mere jamahuur kii daulat 
ab meraa junuu.N kaif-e-taaziir nahii.n hai 
ab dil pe jo guzaregii be-Tok kahuu.Ngaa 
ab mere qalam mai.n ko_ii zanjiir nahii.n hai 

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa 
tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa 

mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n 
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa 

Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa 
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa 

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar 
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa