Tuesday, May 17, 2011

joota kaat"ta hai

kanare ko kanara kaat"ta hai
SahARE ko sahara kaat"ta hai

Bada hi tanzia lehja hai uska
Vo baaton se kaleja kaat"ta hai

Sirf hmen hi dukh nahi deti ye gareebi
Ameeron ko bhi paisa kaat"ta hai


Jinhe kuch zyada hi shook hota hai safar ka
Unhi paaron main joota kaat"ta hai

No comments:

Post a Comment