Tuesday, May 17, 2011

machliyon ko bhi paani se jalan ho gayi hai

banduke taan kar desh ye kahte hain
ki ab humari baate naram ho gayi hai

apni jaroorat ko to kate sabhi ne pedh
ab kahte hain dharti garam ho gayi hai

sanskaar bhi humare nikhre hain aise, ki
baccha kahe woh meri sanam ho gayi hai

kholi jis kisi ne sab netaon ki pol, to ab
sab ko uski saanso se kudhan ho gayi hai

mail sara baha rahe samandar me log, ki
machliyon ko bhi paani se jalan ho gayi hai


"ashish"

No comments:

Post a Comment