Tuesday, November 29, 2011

Sitam

Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka
Ye Kiya Sitam K Who Bhi Hamara Na Ho Saka
Ankhoon Na Jis K Wasta Sadiy“on Safar Kiya
Who Youn Mila K Us Ka Nazara Na Ho Saka
Main Na Har Ek Rukh Pay Nigahain Bikhair Din
Lakin Badal Koi Bhi Tumhara Na Ho Saka
Jo Rah-E-Guzar Ishq Main Pathar Banay Rahay
Un Sa Kisi Bhi Tor Kinara Na Ho Saka
Mujh Ko Kis Liya Shikwa Ho Gair Say
Khud Jub Main Apnay Dukh Ka Sahara Na Ho Saka

woh saza

mili hawaon mein udne ki woh saza yaaro
ke main zameen ke rishton se kat gaya yaaro
woh bekhayal musafir main rasta yaaro
kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro
mere kalam pe zamane ki gard aisi thi
ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro
Tamaam sheher hi jiski talaash mein ghum tha
main uske ghar ka pata kisse poochta yaaro

Sochta hoon

Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq bahatee hoo gee
Woh meri shakal mera nam bhulanay wali
Apni tasver say kia aankh milatee ho gee
Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee
Shaam hotay he woh chukhat pay jala kay shama
Apni palkon pay kaee khawab sulatee ho gee
Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb Muharam ki tarhan Eid manatee ho gee
Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee
Meri tareek zamanoo say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee
Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee
Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee...

kareeb

Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
Tum se to kum gila hai ziyada nasib se

Goya tumhari yaad hi mera ilaj hai
Hota hai paharon zikr tumhara tabib se

Barbad-e-dil ka akhiri sarmaya thi ummid
Vo bhi to tum ne chin liya mujh garib se

Dhundhala chali nigah dam-e-vapasi hai ab
Aa paas ke dekh lun tujh ko kareeb se

terey bina

Hum ju kehty they zindagi kuch nahi hay terey bina
laikin yeh kia kay zindagi sub kuch hay terey bina
ab tu raat bi kut jati hay din bi guzer jata hay
sub waisa hi hay kuch bi tu nahi badla terey bina
terey janey pey ju rim jim si thi ankhoon mein ab
thaher gia hay ankhoon ka woh samander terey bina
waqt nay bohut kuch sikhla dia hay mughey
ab tu wuqt bi guzar jata hay terey bina
 muhabbat kereny kay adaab hi na they
ab zindagi nay woh bi sikhla diey terey bina
ju guzar gia hay waqt, so guzar gia dost
ju reh gia hay, guzar jaey ga terey bina

AISA KYU HOTA HAI

AISA KYU HOTA HAI
Na Neened Ati Hain Na Chain Ata Ain
Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai
Chalte Chalte Qadam Rukh Jate Hai
Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai
Chehra Tho Nazar Nahie Ata Hai
Lakin Kisi Ka Ehsas Wahan Hota Hai
Apnoo Ki Mehfil Me Begana sa LagtA Hu
Sub Ke Hote Howe Dil Na Jane
Kisi Ko Doondta Raha Hota Hai
Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai
Koi Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai
Kya Samjoon Is Dewane Pan Ko Mai
Jho her lLma Mujhko Pagal Ker Raha Hota Hai
Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai
Koi Tu Batahain Aisa Kyu Hota Hai
Aisa Kyu Hota hai
Na Neened Ati Hai Na Chain Ata hai
Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai

ruswayee

wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa
aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa
jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa
weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa
manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa
naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa
kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa

hathon ki lakeer

kahan mumkin tha main dil sey teri yaadein mita deta
bhala kaisey main jeeta agar tujh ko bhula deta
teri ruswai k dar sey labon ko si liya warna
tere shehar.e.munafiq ki main buniyadein hila deta
kia traq-e-wafa us ney to hoge uski majburi
jisey barson dua di thi usey kiya bad dua deta!
khabar hoti agar mujh ko nahi hai tu muqadar mein,
usi lamhon mein hathon ki lakeeron ko mita deta!!

kahin se ajao

ajab sham khari hai kahin se ajao
bari udas ghari hai kahin se ajao,
kisi se milna aur mil k bichar jana,
saza ye itni bari hai kahin se ajao
bara kathin hai ye hijr ka mosam
judai bol pari hai kahin se ajao
zmana jise smjhta hai moteon ki chamak
wo ansoun ki lari hai kahin se ajaoo..
==========================
adat badal doon kese tere intzar ki
ye baat ab nhi he mere ikhtyar ki
dekha b nahi tujh ko phir b yaad karta hoon
basi he khushbu is dil me aisi tere pyar ki.
===========================
zara paanay ki chahat me bohat kuch chot jata hai
na jaane saber ka dhaga kahan per toot jata hai
kise humrah kehtey ho yahan tu apna saya bhi
kahin par saath rehta hai khain par choot jata hai
ajab shay hai ye rishta bhi buhat mazboot lagta hai
zara si bhool se lekin
bharosa toot jata hai..
===========================
younhi ajnabi na bna kro,
kbi muskra k mila kro,
kbi sun to lo mera hal-e-dil
kbi muj se koi gila kro
teri ik nzr teri aik ada
mere dil ko kr dya la.pta
mere dosto ,mere ham.nwa
mere dil ka koi pta kro,
ye treeq.e.ishq hai kuch to ho
ya wfa kro,ya jfa kro,koi faisla mere mehrban koi rasm tum b ada kro.
na hi zeest ka koi rasta
na hi khud.kushika hai hosla
mujhe pyar do muje maar do.
koi kaam tum b kya karo..

faqt pyaar kiya karta hai

ye na socho k faqt naam liya karta hai,
aik diwana teri chahat main jiya karta hai
woh janta hai k tu uske mukaddar main nahi
phir bhi roz tujhe yaad kiya karta hai
kuch nahi mangta rub se kabhi kuch apna liye
teri khushiyon ki dua maan liya karta hai
raat ko yaad main teri jo tarapta hai dil,
chand se ja k teri batein kiya karta hai,
kuch nahi chahta tum se apni chahat ka sila
ya deewana to faqt pyaar kiya karta hai.

chand ne kaha

chand ne kaha;
rota hy kis liye?
me ne kaha dil tota is liye
chand ne kaha
chahat me to aisa hota hi hy
me ne kaha chahat bhi to 1 dhoka hi hy
chnad ne khaha ab us ko bhol ja
me kaha to meri zindagi leja
chand ne kaha duniyan me or bhi chehre hain?
me ne kaha dil pe us ki yaad pehre hain
chand ne kaha
har taraf viraani hy
me ne kaha ye viraani bhi us ki nishani hay"

zindgi sanwaar dy

mere wajod main wafa ki roshni utaar dy
phir itna pyar dy k mujhe chahaton main maar dy
buhat udas the so uth k tere pas a gay
kuch aesi baat kar jo dil ko chain rooh ko qarar dy
suna hai tere aik nazar sanwaarti hai zindgi
jo ho saky to ajj meri zindgi sanwaar dy..

Tark-E-Talluq

Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai
Goya Ki Muhabbat Nahin Ehasan Kiya Hai

Socha Tha Ki Tum Dosaron Jaise Nahin Hoge
Tum Ne Bhi Vahi Kam Meri Jaan Kiya Hai

Mushkil Tha Bahot Mere Liye Tark-E-Talluq
Ye Kam Bhi Tum Ne Mera Asaan Kiya Hai

tere khyaal

"kya ye bhi zindgi hai ki raahat kabhi na ho"
"aisi bhi kisi se mohabbat kabhi na ho"
"wada zarur karte hain aate nahi kabhi"
"phir ye bhi chahte hain shikayat kabhi na ho"
"dil chahta hia phir wohi fursat ke raat din"
"mujh ko tere khyaal se fursat kabhi na ho"