Sunday, November 20, 2011

faasla

mohobbat karke dekh liya maine
ab thodi nafrat karna chahta hoon

us shaks ke jitne kareeb tha main
ab utna hi faasla rakhna chahta hoon...

mere pyar ki usne kabhi kadar nahi ki
aj usey ye yaad dilana chahta hoon

ke jee lunga uske bagair main
dil se uski yaadon ko mitana chahta hoon...

meri wafaon par usne jo ilzaam lagaye
ab un ilzamon ka badla chukana chahta hoon

ke ro pade wo meri kabar pe aake
usey ab main is kadar yaad aana chahta hoon..

yaad aaonga

Jab bichar kar tere dil se chala jaonga
Dilko sine mein na payegi to yaad aaonga

Aaonga chupke se khawabo mei jo uske aksar
Fir jo sote hue hi hansdegi to yaad aonga

Meri maasum mohobat ko bhulakar jab tum
Fir kisi aur ko chahogi tau yaad aaonga

Doston ki kisi mehfil mei baaton baaton mei
Jab kisi baat pe ruthogi to yaad aaonga

Meri Tasvir ko aankho mei chupane k liye
Apne ashko se meetaogi to yaad aaonga

Raat sannate mei kamre ki khuli khirki se
Hanste ek chand ko dekhogi to yaad aaonga

Jab bhi barsat k bhege hue mausam mei khadi
Tanha barish mei jo bheegogi to yaad aaonga

Khaak se lipti kitabo k har ek kaghaz par
Naam likha mera dekhogi to yaad aongaa

Ab jo har ek khushi mujhko sunane k liye
Dur tak mujhko na paogi to yaad aaonga

gulabi kapre jo pehen kar tum khule balon ko
Khud hi hathon se sanwarogi to yaad aaonga

Yaad karte hue ye saans jo tooteygi meri
Fir meri kabar pe aaogi to yaad aaonga

Tere hi naam se likhta tha sari ghazal
Ab jo parhte hue ro dogi to yaad aaonga

faisala kar de

Ankh pyasi hai koi manzar de
Is jazire ko bhi samandar de

Apana chehara talash karana hai
Gar nahi aina to patthar de

Band kaliyon ko chahiye shabanam
In chiragon may roshani bhar de

Pattharon ke saron se karz utar
Is sadi ko koi payambar de

Kahkahon may guzar rahi hai hayat
Ab kisi din udas bhi kar de

Phir na kahana ke khudkhushi hai gunah
Aj fursat hai faisala kar de

bewafa na kaho

Har ek chehare ko zakhmon ka aina na kaho
Ye zindagi to hai rahamat ise saza na kaho

Na jane kaun si majaburiyon ka qaidi ho
Wo sath chor gaya hai to bewafa na kaho

Tamam shahar ne nezon pe kyun uchala mujhe
Ye ittefaq tha tum is ko hadasa na kaho

Ye aur bat ke dushman hua hai aj magar
Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho

Hamare aib hamay ungaliyon pe ginwao
Hamari pith ke piche hamay bura na kaho

Main waqiyat ki zanjir ka nahi qayal
Mujhe bhi apane gunahon ka silsila na kaho

Ye shahar wo hai jahan rakshas bhi hai "rahat"
Har ek tarashe huye but ko dewata na kaho

mujhe hosh nahi

Kitani pi kaise kati rat mujhe hosh nahi
Rat ke sath gai bat mujhe hosh nahi

Mujh ko ye bhi nahi malum ki jana hai kahan
Tham le koi mera hath mujhe hosh nahi

Ansuon aur sharabon may guzar hai ab to
Main ne kab dekhi thi barasat mujhe hosh nahi

Jane kya tuta hai paimana ki dil hai mera
Bikhare bikhare hain khayalat mujhe hosh nahi

Raat Ke Tanha Lamhon Mein

Jab Raat Ke Tanha Lamhon Mein

Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai

Iss Dil Mein Hulchul Si Rehti Hai

Koi Jugnu Paas Se Guzre Toh

Koi Baat Halak Se Nikle Toh

Mai Khud Se Ulajh Ne Lagta Hun

Phir Jaane Kya Kya Kehta Hun

Phir Yaad Uski Aati Hai

Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko

Yeh Saans Meri Ruk Jaati Hai

Ek Shola Dil Mein Bharakta Hai

Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai

Phir Koi Weham Mujhse Kehta Hai

Koi Mere Dil Mein Rehta Hai

na juda hota

"na juda hota hai na sama jata hai"
"dard deta hai mujhe hasa jata hai'
"roz yaad karke nafrat se mujhe"
"har sans pe de ik nai saja jata hai"
"phir pyar se dekhta hai aise ke"
"thame hue ashqon ko baha jata hai"