Tuesday, March 20, 2012

Gham mein wo rawaani hai

Patthar ke Jigar waalo Gham mein wo rawaani hai
Khud raah bana lega behta hua paani hai

Ik Zehan-e-Pareshaa'n mein Khaab-e-Ghazalistan hai
Patthar ki Hifaazat mein Sheeshe ki Jawani hai

Dil so jo Choote Baadal To Aankh mein Saawan hai
Thehra hua Dariya hai Behta hua paani hai

Aye Peer-e-Khiradmandaa'n Dil Ki bhi Zaroorat hai
Yeh Shehar-e-Ghazaalaa'n hai Yeh Mulk-e-Jawaani hai

gham Waja-e-Figaare-eDil , Gham Qaraar-e-Dil
Aansoo kabhi Sheesha hai , Ansoo kabhi Paani hai

Is Aasra-e-Dil par Hum ne Bhi Kafan pehna
Hans kar koi Poochega kya Jaan ganwani hai

Din Talkh Haqaayeq ke Sehraaoo'n ka Sooraj hai
Shab-e-Gesoo-e-Afsaana Yadoo'n ki Kahani hai

Wo Misra-e-Awara Deewanoo'n pe bhari hai
Jis mein Terey Gesoo ki Berab't Kahani hai

M0hÄbbÄt

roj jaata raha, roj aata raha

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi,
Manch se main tumhe gungunata raha.

Zindagi ke sabhi raste ek the,
sabki manzil tumhare chayan tak rahi.
aprakashit rahe peer ke upnishad,
man ki gopan kathayein nayan tak rahi,

Praan ke pristh par preet ki vartani
tum mitati rahi, mai banata raha

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi,
Manch se mai tumhe gungunata raha.

Ek khamosh halchal bani zindagi,
gehra thehra hua jal bani zindagi,
tum bina jaise mehlon me beeta hua
urmila ka koi pal bani zindagi.

drishti akaash me aas ka ek diya
tum bujhaati rahi mai jalaata raha.
Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.

mukkamal zindagi to hai magar

Na pane ki khushi hai kuch, na khone ka hi kuch gam hai,
ye daulat aur shohrat sirf kuch jakhmo ka marham hai,
ajab si kasmkash hai roj jeene me, roj marne me,
mukkamal zindagi to hai magar poori se kuch kam hai.
Girebaan chaak karna kya hai seena aur muskil hai,
Harek pal mushkurakar ask peena aur mushkil hai,
Humari badnishibi ne humein bas itna sikhaya hai,
kisi ke ishq me marne se jeena aur mushkil hai.
Pukare aankh me chadhkar to khu ko khoon samajta hai
andhera kisko kehte hai ye bas jugnoo samajhta hai…!
humein to chand taaro me bhi tera roop dikhta hai
mohabbat me numaish ko adayein tu samajhta hai…!!

Baat uunchi thi magar baat jara kaam aanki

Baat uunchi thi magar baat jara kaam aanki
Usne jajbaat ki aukaat jara kam aanki
Wo farista keh kar mujhe jaleel karta raha
Mai insaan hoon, meri jaat jara kam aanki
Ek do din me wo ikraar kaha aayega
Har subah ek hi akhbaar kaha aayega
Aaj bandha hai jo inn baaton me to bahal jayenge
Roj inn baahon ka tyohaar kaha aayega
Jism ka aakhiri mehmaan bana baitha hoon
Ek ummid ka unvaan bana baitha hoon
Wo kahan hai ye hawaon ko bhi maloom hai magar
Ek bas mai hoon jo anjaan bana baitha hoon
Kitni duniya hai mujhe zindagi dene wali
Aur ek khwab hai tera ki jo mar jata hai
Khud ko tarteeb se jodun to kaha se jodun
Meri mitti me jo tu hai ki bikhar jata hai
Use yakeen tha khud pe ki bhool jayega,
Humein bhi dil pe bharosa tha, yaad rakhe hain.