Friday, January 20, 2012

Woh naam

Haatheli par jise likhte mitate hai woh
Woh naam mera hi to hai

Mehndi jiske naam ki rachai hai usne
Woh naam mera hi to hai

Sunke jisko palke uski jhuk jaati hai
Woh naam mera hi to hai

Dil pe uske jo naam likha hai
Woh naam mera hi to hai

unke honthon pe jo kaanp raha hai
Woh naam mera hi to hai

Dhadkan mein jo unki gunj raha hai
Woh naam mera hi to hai

Apna naam jisse joda hai usne
Woh naam mera hi to hai

Unke naam ke bina jo adhura hai
Woh naam mera hi to hai

dhoondte hain sapno main

Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai

Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain

Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain

Meri Aankhoun Ko

Kabhi Jugnu, Kabhi Taare, kabhi Nargis Bankar
Tum Meri Aankhoun Ko Iss Tarah Toh Cheda Naa Karo…

Bhaanp Jaye Naa Kahin Dil Ki Lagi Yeh Duniya
Youn Ashq Banke Mere Chehre Pe Tehra Naa Karo.

Baat Choti Si Bhi Afsana Bana Deti Hai Yeh Duniya
Tum Kitaboun Pe Mera Naam Likha Naa Karo..

Hai Ibarat Ki Tarah Naam Tumhara Bhi Mujhe
Tum har Lamha Zahen Me Mere Utra Naa Karo…

aksar aisa hota hai

Mohabbat ke junoon main aksar aisa hota hai
Ghalti kisi ki ho dono ko tarapna parhta hai
Zindagi naam hai bas ek is hi cheez ka
Kabhi paa ker bhi kisi ko khona parhta hai
Zakham chahe jitne lagen Dil per magar
Na chahte hue bhi yahan jeena parhta hai
Juddayi chahe pal bhar ki ho bohat dasti hai
Mohabbat main yeh bhi sehna parhta hai .

Jaane yeh pyar hota kyon hai?

Jaane yeh pyar hota kyon hai?
Naam kuch bhi khe lo par deta sirf dard hai yeh..
Ek tanhai..aur aansu ke siwa yeh deta kuch nahi,
Jaane yeh pyar hota kyon hai?
Pyar mein dil tutete dekh hame socha tha pyar kabhi na karenge,
Par woh hi to they jisne kaha tha, pyar kushiya deta hai,
woh wahi ho na jo bich ra mein muh modgaye,
Bina mud ke dekhe ek baar hame uhi chod gaye…
Jaane yeh pyar hota kyon hai?
Kaha gaye woh aur unki baaten..
Zindagi bar kushiya dene ke waade..
Sab pal mein bula diya usne,
Ghero ko kya dosh dein, apna hokar rula diya usne,
Jaane yeh pyar hota kyon hai?

aadatan

aadatan tm ne krdeay waaday
aadatan hum ne aaitbar kiya

teri rahon main barha ruk kr
hum ne apna hi intzar kiya

ab na maingain ge zindagi ya rab
yeh gunnah hum ne ek bar kiya