Tuesday, December 13, 2011

guzaarish nahi hogi

Bhooley sai kabhi unki nawaazish nahi hogi
Khuddaar hain hum sai bhi guzaarish nahi hogi

Hum wo hain jo har derd chupa letey hain dil main
Hum sai kabhi zakhmon ki numaiish nahi hogi

Iss dil main kisi aur ka gham terey alawa
Yeh jurm hai hum sai tou yeh saazish nahi hogi

Likha hun ghazal apni tamanna ke lahoo se
Kya gham hai jo sheron ki sataaiish nahi hogi

Jiss dil main faqat Aarzo_e_ yaar bastey hai
Uss dil ko kisi aur ki Khuwahish nahi hogi

Nahi likhta

Main bewafai par nahi likhta.
Aur mai sochta hoon ki mai
Unki ruswai par nahi likhta.
Khud Apne se zyada bura,
Is Zamane mai kaun hai.
MaiN isliye doosron ki burai par nahi likhta.

Kuch to aadat se majboor hai
Aur kuch fitraton ki pasand hai
Zakham kitne bhi gahre ho
Main unki duhai par nahi likhta

Duniya ka kiya hai,
Har haal mai ilzaam lagati hai.
Varna kiya baat ki
Mai apni safai par nahi likhta

samundar ko parkhne ka,
Mera nazariya hi alag hai yaaro.
Mizazon par likhta hoon,
Main uski gahrai par nahi likhta.

Paraye dard ko mai gazlon mai,
Mahsoos karta hoon.
Yeh sach hai mai ,
sazar se fal" ki judai par nahi likhta.

Tazurba unki muhabbat ka,
Na likhne ki bajah bas ye hai..
Ki Shayar ishq mai,
Khud apni tabahi par nahi likhta

Chahta Hoon

Iss Baar Kuch Aisa Mein Chahta Hoon
Unko Apna Banaana Chahta Hoon

Bhula Kar Apne Sab Gham
Unhe Dilse Apnana Chahta Hoon

Unhe Unki hi Ijazaat Se
Apne Dil Mein Basana Chahta Hoon

Apne Naam K Saath Joar Kar Unka Naam
Duniya Ko Sar-E-Aam Dikhana Chahta Hoon

Kab Ho Qubooliyat Ki Ghari Na Jaane
Unhe Har Dua Mein Mangna Chahta Hoon

Ho Jaayen Woh Mere Aur Main Unka
Harr Pal Bas Yehi Ehsaas Chahta Hoon

Unse Hi Ki Bas Mohabbat Main Ne
Apni Sari Zindagi Unke Sang Bitana Chahta Hoon

Karta Hoon Aaj Doston main Ye Iqraar
Main Bass Unhe Bass Unhe Hi Chahta Hoon

Haq Ke Saath Kahoon Unhe Main Apna
Unse Bass Aaj Main Yehi Raza Chahta Hoon

kamnasib

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila Hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob milgaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar Mila Hai

Gham nahi mujhe ki Dushman hua yeh zamana
Jab Pyaar Hi Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hai

Sab Kuch Khuda Ne Usko Bhala Kaise De Diya
Mujh Ko Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila Hai

kuch chandni si batain hon

Zara sa qatra kaheen aj agar ubharta hai
Samandron hi k lahje may bat karta hai

Khuli chaton k diye kab ke bujh gye hote
Koi to hai jo hawaon k par kutarta hai

Sharafton ki yahan koi ahmiyat hi nahi
Kisi ka kuch na bigaro to kon darta hai

Zameen ki kaisi waqalat ho phir nahi chalti
Jab asman se koi faisla utarta hai

Tum aa gye ho to phir kuch chandni si batain hon
Zameen pe chand kahan roz roz utarta hai

जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है

उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है

नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है

थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटे
सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है

बहुत बेबाक आँखों में त’अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है

सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है

मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है

एक क़तरे को समुन्दर नज़र आयें कैसे

अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपायें कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक नज़र आयें कैसे

घर सजाने का तस्सवुर तो बहुत बाद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचायें कैसे

क़हक़हा आँख का बरताव बदल देता है
हँसनेवाले तुझे आँसू नज़र आयें कैसे

कोई अपनी ही नज़र से तो हमें देखेगा
एक क़तरे को समुन्दर नज़र आयें कैसे

अम्मा

अम्मा


चिंतन दर्शन जीवन सर्जन
रूह नज़र पर छाई अम्मा
सारे घर का शोर शराबा
सूनापन तनहाई अम्मा

उसने खुद़ को खोकर मुझमें
एक नया आकार लिया है,
धरती अंबर आग हवा जल
जैसी ही सच्चाई अम्मा

सारे रिश्ते- जेठ दुपहरी
गर्म हवा आतिश अंगारे
झरना दरिया झील समंदर
भीनी-सी पुरवाई अम्मा

घर में झीने रिश्ते मैंने
लाखों बार उधड़ते देखे
चुपके चुपके कर देती थी
जाने कब तुरपाई अम्मा

बाबू जी गुज़रे, आपस में-
सब चीज़ें तक़सीम हुई तब-
मैं घर में सबसे छोटा था
मेरे हिस्से आई अम्मा

asar ho raha hai mohabbat ka aaaj phir

asar ho raha hai mohabbat ka aaaj phir
aaj phir main nagme gungunaane laga hun
pahle main darta tha mohabbat k khel se
ab phir se baazi lagaane laga hun
jiski talaash thi mujhe hamesha
kya tum sachmuch wahi ho
tumhe dekhta hun toh lagta hai
kii kaahin tum khwaab toh nahi ho
bas pad lo meri aankhon main mohaabat apne liye
labon se keh saku itni himmat ab nahin hai
todna mat mera dil jo tumko diya hai
is baar jo main bikhra toh phir judna mumkin nahi hai

aadat ho gaye hai

Dard main bhi muskrane ki aadat ho gaye hai
Es tarha jeena ki bhi adat ho gaye hai
Logo ko humhey rolane ki aadat ho gaye hai
Humhey bhi muskra ka jawab dena ki aadat ho gaye hai
Logo ko humhey tarpaney ki aadat ho gaye hai
Humhey Bhi aag ki tarha jalney ki aadat ho gaye hai
Jis per kare barosa wohi barosa tor ka ja raha hai
Barosa bhi mithi ki tarha hath se pisalta ja raha hai
Dil bhi ab toot ka bicharta ja raha hai
Har kio es dil per hast-e-muskrate ja raha hai
Ab dil bhi toot ka bebas ho cuka hai
Ab to dil ko bhi tootney ki aadat ho gaye hai
Toot ka itna roye ka khoon ka aanso bahe
Ab To aanso-e-laho bahney ki bhi aadat ho gaye hai
Roz Roz Marney ki tamana kartee hai per mout nehi ate
Ab to tariq ko bhi mar mar ka jeena ki bhi aadat ho gaye hai

mushkil bahut safar lagta hai

chup reh kar hi har gum sehna"
"har dum aansu aankho se behna"
"dard ho to bhi muh se na kehna"
"mehfil mai bhi tanha rehna"
"deewaron se mil kar rona"
"hoton ko bhi silkar sona"
"tera hokar bhi na hona"
"mera na hokar bhi hona"
"kitna mushkil tha ye sapna"
"jisko maan lia tha apna"
"usse nata kaise tute"
"chahe wo the kitne jhoote"
"laikn unko pyar kiya tha"
"sab kuch apna waar diya tha"
"ab wo humse door hue hain"
"hum bhi to majboor hue hain"
"dil zakhmo ka ghar lagta hai"
"ab manzil se darr lagta hai"
"pav main chale itna hain ke"
"mushkil bahut safar lagta hai"
"mushkil bahut safar lagta hai"............

Ishq ke phool

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

jab chaha bhula diya

kitna ikhtiyar tha us ko apni chahat pe,
jab chaha yaad kiya jab chaha bhula diya,
janta tha wo mujh ko behlane k hr andaaz
jab chaha hansa diya jab chaha rula diya,
dil b us ka tha pyar b us ka tha
jab chaha mera nam likha jab chaha mita diya.

dil dharkne ko muhabat ka nam dete ho?

na koi subha na koi sham dete ho
dil dharkne ko muhabat ka nam dete ho?
roz chale aate ho khuwab main mere
in ankho ko na aik pal aaram dete ho
hum se na poucho kbi hmara haledil
ghairon ko har roz salaam dete ho
hum ne yaad rakha is leye mujrim thehre
shayad bhul jane pe tm inam dete ho