Wednesday, November 16, 2011

"main nazar se pee raha hoon

main nazar se pee raha hoon,ye sama badal na jaye"
"na jhukao tum nigaahen,kahin raat dhul na jaye"
"mere ashq bhi hain is main,ye sharaab ubal na jaye"
"mera jaam choone wale,tera haath jal na jaye"
"mujhe phookne se pehle,mera dil nikaal lena"
"ye kisi ki hai amanat,kahin saath jal na jaye"
"meri zindgi ke maalik,mere dil pe haath rekhna"
"tere aane ki khushi main mera dum nikal na jaye"
"abhi raat kuch hai baaki napila sharaab saki"
"tera rind girte girte kahin phir sambhal na jaye"
"main nazar se pee raha hoon..........

muskurake hawa na de

"mere dil ki raakh kured mat"
"ise muskurake hawa na de"
"ye chiraag phir bhi chiraag hai"
"kahin tera haath jala na de"
"main udasiyan na saja sakun"
"kabhi jism-o-jaan ki mazaar per"
"na diye jale meri aankh per"
"mujhe itni sakht saja na de"
"naye daur ke naye khwaab hain"
"naye mausamo ke gulaab hain"
"ye mohabbaton ke chiraag hain"
"inhe nafraton ki hawa na de"
"zara dekh chand ki pattion"
"ne bikhar bikhar ke tamam shab"
"tera naam likha hai rait per"
"koi lahar aa ke mita na de"
"yahan log rehte hain raat din"
"kisi maslehat ki talaash main"
"ye teri nigaah ki saadgi"
"kahin dil ke raaz bata na de"
"yuhi dil jalane ke shaunk main"
"koi log jaan se guzar gaye"
"tera naak naksh hai mom ka"
"kahin gum ki aag ghula na de"
"main gazal ki shabnami aankh se"
"ye dukhon ke phool chuna karun"
"meri saltnat mera fun rahe"
"mujhe taj-o-takht khuda na de"

mujhe aajmane ke liye

rakhe khuda ne do raaste mujhe aajmane ke liye"
"tu chor de mujhe ya main chor doon tujhe zamane ke liye"
"kaise maang loon rabb se bhool jane ki dua"
"haath uthte nahi dua main tujhe bhoolane ke liye"
"nahi ki zindgi main maine ek bhi neki per"
"padi hain chup chup ke namazein tujhe paane ke liye"

AADAT SI HO GAYEE HAI

JAB SE DIL LAGYA HAI UNSE HUMNE
SAB KUCH SEHNE KI AADAT SI HO GAYI HAI

INTAZAAR KERTE HAI HUM UNKA DER TAK
UNKO NA ANEY KI AADAT SI HO GAYEE HAI

BAAT BAAT PE MUSKARATE THE HUM
AB TO RONE KI AADAT SI HO GAYEE HAI

KABHI EK HUMDARD CHAHTEY THA HUME BHI
PER AB TO TANHA GAM SEHNE KI ADAT SI HO GAYEE HAI

JAB SE SOCHNA SHURU KIYA HAI UNKO
SARI SARI RAAT JAGNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI

JISEY BHI CHAHA HUM NE WO CHHOR KER CHALA GAYA
AB TO KHONE KI AADAT SI HO GAYEE HAI

JAB SE WOH GAYE HAIN HUMAIN CHHOR KER
TAB SE CHUP REHNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI

UNSE NA KOI SHIKWA NA KOI SHIKAYAT HAI HUMAIN
BAS KHUD SE SHIKAYAT KERNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI

MALOOM HAI KE HUMARI KISMAT MAI WOH NAHI
BAS KISMAT SE LARNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI

WOH JAHAN BHI RAHEN BAS KHUSH RAHEN
YE DUWA MANGNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI

ek shakhs

Meri aankhon ka noor tha ek shakhs,
Paas reh ker bhi durr tha ek shakhs,

Zamane ki hawaon ne badel diya ho shayed,
Pehley tu na itna maghroor tha ek shakhs,

Jatey huay us ne palatt k bhi na dekha,
Khuda jane kis qadar majboor tha ek shakhs,

Zamana chahey jo bhi kahey mujhko,
Mein tu yehi kahonga 'mere dil ka saroor tha ek shakhs'..