Kuch pane k liye kuch khona parta hai,
Ek tukda hansi k liye kuch ser rona parta hai,
Maangne se toh maut bhi nahi milti,
Zindagi kya milegi..
Koshishon k daur se guzar ke..
Haasil karna parta hai..
Manzil nahi aayegi chal k tujh tak,
Lad-kha-da kar,fir uth kar badhna parta hai..
Padh le kuraan chaar baar aur,
Kar le sau sazde aur,
Nahi hoga kuch haasil..
Usko pane ke liye ,khud ko bhoolna parta hai..
Kuch pane k liye kuch khona parta hai,
Ek tukda hansi k liye kuch ser rona parta hai,
Fatah ki chaah hai to haarna seekh..,
sirf duaoon se kuch nahi hoga.
Lakeeron ke khilaaf jaake..
mukaddar se ladna parta hai.
Jata diya toh kya ishq kiya.
Asli ishq vo jo samjha jaaye..
Saalon tak haal-e –dil ko
palkon mai jazb rakhna parta hai….
Mohabbat naam nahi kisi khel ka.
Parwaane ki tarah umar bhar jalna parta hai
Maut ki chaahat rakh kar bhi..
jeena parta hai..
Asharfiyon se nahi kahreeda jaata
Sukoon rooh ka,uske liye,
Doosron ki khushi mai,
khush hona parta hai..
apno k liye karega tu hamesha..
gairon k liye kuch kar k dekh..
asli khushi ke liye..
insaaniyat ka farz nibhaana parta hai..!
Kuch pane k liye kuch khona parta hai,
Ek tukda hansi k liye kuch ser rona parta hai.
No comments:
Post a Comment