Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin
Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin
Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin
Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin
Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin
Kisko Gale Laga Ke Royen Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin
Mareez-e-Ishq Hai Tamanai Khudkushi Ka ab
Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin
Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin

No comments:
Post a Comment