Sunday, February 12, 2012

ruswa kiya zamane ne

hamari mohobbat ka kya tamasha bana diya
kya pyaar koi gunah hai jo fasana bana diya

kis kadar nafrat hai zamane ko pyaar se
yeh zamana bhi to pyaar se hai isko bhula diya

kyon ashiqon ke pyaar par khanzar chala diya
ruswa kiya zamane ne aur sitam dha diya

pyaar khuda ka tohfa hai isko bhula diya
hamare pyaar ke rishte ko jahannum bana diya

zulm karke pyar par kya isne paa liya
humne to har saza ko hamdam bana liya.

No comments:

Post a Comment