Tuesday, February 21, 2012

Tanhai mein

Tanhai mein khat us ne mera padha hoga
dil us ka bhala kaboo mein kaise raha hoga

jab sakhiyon ne use majboor kiya hoga
tab sarmake naam usne mera liya hoga

jab ratoon ko yaadon ki purwai chali hogi
us ke dil-e-nazuk mein tufaan uttha hoga

No comments:

Post a Comment