Wednesday, April 4, 2012

hai dua yaad magar harf e dua yaad nahi

hai dua yaad magar harf e dua yaad nahi
meray nagmaat ko andaaz e navaa yaad nahi

main ne palakon se dar e yaar pe dastak di hai
main vo saahil hoon jissay koi sada yaad nahi

main ne jin ke liye raahon main bichaya tha lahu
hum se kehtay hain vohi ahad e vafa yaad nahi


kaisay bhar aaen sar e shaam kisi ki ankhain
kaisay tharraee chiragon ki ziyaa yaad nahi

sirf dhundhlaee sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se khafa yaad nahi

zindagi jabr e musalsal ki tarha kat_ti hai
jane kis jurm ki paai hai saza yaad nahi

aao ik sajdaa karain aalam e madhoshi main
kehtay hain wo k  humko ko khuda yaad nahi

No comments:

Post a Comment