Monday, April 23, 2012

kya paaya kya khoya hai..?

tassavur karta hoon unka
aansoo bahaa deta hoon main
shabnam ke katron se
tasveerein banaa deta hoon main

jab bhi aati hain hawaayen
unke dar ko choom kar
saans le kar do gharri
sar ko jhukaa deta hoon main

duniya mein mohabbat ka
imaan kaayam rakhne ko
mehfilon mein aksar hi
muskuraa deta hoon main

poochte hain dost jab
kya paaya kya khoya hai..?
unka naam haath par
likh kar mitaa deta hoon main

No comments:

Post a Comment