use keh do mujhe satna cchod de
doosron ke saath reh kar mujhe jalana cchod de
ya to kar de inkar ki mujhse mohobbat nahi
ya gujarte hue dekh mujhe palatkar muskurana cchod de
na kar baat mujhse koi gum nahi hai
yun sunkar aawaz meri jharokhe par aana cchod de
kar de dil-e-bayan jo cchupa rakha hai
yun ishaaron me haal batana cchod de
kya irada hai ab bata de mujhe
yun doston ko mere kisse sunana cchod de
hai pasand gulabi rang mujhe ye pata hai use
us libaas me bar bar aana cchod de
na karen yaad mujhe beshak woh
yun kitaabon me naam mera likh kar mitana cchod de
khude kar sake kissa ye aasan agar
ya to mera ho jaye ya mujhe apna batana cchod de

No comments:
Post a Comment