insaan ne to apne liye kate jangal
ab kahta hai chete kam ho gaye hain
khud ke andar dhundhta nahi khushi,aur
kahta hai ki zindagi me ghum ho gaye hain
kudarat bhi pareshaan ho gaya ab
ki itni tadaad me hum ho gaye hain
majahab ke naam par bah raha khun
ki aise to humare karam, ho gaye hain
khuda bhi aaj sahma hua baitha hai kahin
ki yahan aaye use kitne janam ho gaye hain
No comments:
Post a Comment