Saturday, July 2, 2011

sab bhatakate hai

ye likhi hai baat kis kitaab me...
aap ko rahenaa hai bas naqaab me...

hosh me bas wo ke jis ko tu milaa...
sab bhatakate hai yahaa sharaab me...

soch ko miltaa nahi kabhi sukoon...
hai kai sawaal har jawaab me...

kar diyaa kaanton ne jab lahoo se laal...
husn aur badh gayaa...gulaab me...

No comments:

Post a Comment