Mosam-e-hijr ma ye barish ka barasna kasa
Ek sahra say samundar ka guzarna kasa
Ae mere dil na pareshan ho tanha ho kar.
Wo tere sath chala kb tha so bicharna kasa
Log kahte hain gulshan ki tabahi daikho
Main to vairaan sa jungle tha ujadna kasa
Dakhne mei to koi dard nai dukh b nahi
Phir ye ankho mei ansu ka ubharna kesa
Bewafa kahne ki jurat b na krna usko
Us ne iqrar kiya kb tha mukarna kasa ?
No comments:
Post a Comment