Hansata tha phir mujhe rula b deta tha,
Kar k aksar wade mujh se bhula b deta tha.
Bewafa tha magar acha lagta tha dil ko,
Kbi kbi batein muhabat ki suna b deta tha.
Tham leta tha hath mera kbi yun hi khud,
Kbi hath apna mere hath se chura b leta tha.
Kbi bewaqt chala aata tha milne ko,
Kbi qeemti pal muhabat k ganwa b deta tha.
Ajab dhoop chaaon sa mizaj tha us ka,
Pyar b karta tha nazron se gira b deta tha..........!!
No comments:
Post a Comment