ye kis yug me aayi hai dharti
ki har disha me ek kolahal hai
jevan aise jee raha insaan
ki ye amrit nahi halahal hai
kabhi tha jahan kushiyon ka sagar
wahan ab dukhon ka rasatal hai
insaan hi mila raha sab me vish
ki varsha bhi ab aml se pagal hai
vishwaas bhi toot raha aaj aise, ki
andha kar raha aankhon ka kajal hai
maa ne bete ka pasina pocha jisse
faila rahi uske samne wahi aanchal hai
prabhu tu dar mat ek baar aa ja yahan
tab hatega chhaya jo ye kala badal hai
"ashish"
No comments:
Post a Comment