Saturday, May 21, 2011

tazurba deti hai zindagi

jo khushi haqeeqat me hain
woh baangi khwabo me kahan

jo tazurba deti hai zindagi
woh ilm kitaabo me kahan

khatm hogi meri khoz sagar me,ki
woh rangin machli talabo me kahan

jo kashish nazron se baat me hai
woh ranaai aadabon me kahan

gareeb khata aapas me baantkar
woh inaayat nawabo me kahain

jo sukoon hai us ek sakhs ke sath
woh tarab aur ahbaabon me kahan


"ashish"

No comments:

Post a Comment