Friday, June 10, 2011

aakhir kaun hu main

do aankhen,do hath,do pair
kul milakar ek adna sa jeev
par jajbat dalkar kisi ne mujhme
banayi meri zindagi ki neev
kabhi kisi ka ghata aur
kabhi kisi ka jod hu main
aakhir kaun hu main

kabhi paya maine khud ko
har gulistan har chaman me
kabhi khoja hai khud ko
maine apne hi tan man me
kabhi kahin hota wachaal
aur kabhi ek maun hu main
aakhir kaun hu main

kabhi kahin thukraya gaya
mera har ilm meri har aadat
par kabhi aisa bhi hua hai
jab hui hai meri ibaadat
kabhi raha kisi ki kamjori
kabhi kisi ka jor hum nain
aakhir kaun hu main

kabhi chand taro ki tarah
maine apni pahchan banayi
kabhi kisi bahnwre ki tarah
ek fool ki khatir jaan ganwayi
kabhi raha jaise ek anant
aur kabhi ek chhor hu main
aakhir kaun hu main

kyon samajh nahi pata khud ko
dekhe maine apne hi kai roop
kabhi kisi ki chhanv raha main
kabhi kisi ne samjha hai dhoop
kabhi hota hu main khud
aur kabhi koi aur hu main
aakhir kaun hu main


No comments:

Post a Comment