Tuesday, March 6, 2012

kaha usne

kaha usne bharoosa dil pe itna nahi karte .
kaha me ne mohabbat me kabi socha nahi karte

kaha us ne khush rang duniya k nazaray hain.
kaha me ne jab tum ho paas,hum kuch dekha nahi karte

kaha us ne main tum se door hon lekin tumhare paas hon
kaha main ne sapno se dil ko behlaya nahi karte.

kaha us ne tumhari chahat tumhe ruswa kar de gi.
kaha main ne shorat se gabraya nahi karte

kaha usne samjh jao meri jaan samjh jao.
kaha main ne dewano ko samjaya nahi karte

No comments:

Post a Comment