Tuesday, March 6, 2012

usay kehna

usay kehna
gilay unsay hotay hain
jo dil k pas hotay hain
shikayat unsay hoti hai
jo behad khaas hotay hain
mera tujh sy gila karna
tumhen yun he rula dena
khafa krna
teri taeed k badlay jafa karna
muhabat ki alamat hai
ye ulfat ki alamat hai
muhabat mai kabhi hargiz
isay dil par nahen lena
usay kehna
muhabat ki tawaqo unsay hoti hai
k jinsay aas hoti hai
gile unhi say hotay hain
jo dil k paas hotay hain

No comments:

Post a Comment