Saturday, May 28, 2011

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai 
ke ham ko teraa nahii intazaar apanaa hai 

mile ko_ii bhii teraa zikr chheD dete hai 
ke jaise saaraa jahaa raaz_daar apanaa hai 

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal 
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai 

zamaane bhar ke dukho ko lagaa liyaa dil se 
is aasare pe ke ik Gamgusaar apanaa hai 

'Faraz' raahat-e-jaaN bhii vahii hai kyaa kiije 
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai 

No comments:

Post a Comment