Monday, May 23, 2011

baat batye tumhe

baat batye tumhe
aaj us ek raat ki
jab nzaro ne humari
pehli baar baat ki

yu to hamne pahle
hardam munh khola tha
par us pal pahli baar
aankhon se bola tha

chaand mujhe chandni se
jane kyon bharma raha tha
par jo muskaya tha woh
chaand bhi sharma raha tha

hawa bhi machal uthi thi
use thik se dekhne ko
chal padi woh uski or
julfon se khelne ko

udi thi jo julfe uski
chamki kaan ki baali thi
jhuki ti palke uski,gahri ho uthi
uske hontho ki laali thii

chhitak rahi thi chaandni
har ore uske noor ki
chamk jo thi uski biniya me
woh kya hogi kohinoor ki

aata to ro chhat par tha,par
aaj swarg nazar aaya tha
saha nahi gaya do kadmo ka fasla
ki uske paas khinch kar aaya tha

ek sargam baji thi chudiyon ki
ki uska hath tha mere hatho me
kuch moti bikhar pade the yu hi
woh asar tha uski awaazo me

us pal ko sajaya hai
maine apne khwabo me
sambhal rakhi hai aaj bhi
woh chandni apne hatho me

No comments:

Post a Comment