Monday, May 23, 2011

kasie maat hai

ajeeb si bechaini hai dil me
pata nahi hui kya baat hai

ghum-e-ishq ka to aadi hu
jaane ye kiski karamaat hai

yu ki raat to aaj hai poonam ki
na dikha chand kaisi kali raat hai

suna hai har raat ka hota ek ant
par meri subah bhuli shuruat hai

ladi bhi nahi maine koi ladaai
phir mujhe mili kasie maat hai

No comments:

Post a Comment