Nazar ki pyas bujhaney ka hosla na hua-
Mile to lab bhi hilaney ka hosla na hua-
Pukarti he rahi door tak usey nazrein-
Magar zuban se bulaney ka hosla na hua-
Tumhare jabar-o-sitam hans ke sah liye dil par-
Tumhare dil ko dukhaney ka hosla na hua--!!
No comments:
Post a Comment