Tuesday, April 10, 2012

jaane kyun log mere naam se jal jaate hain

garmi-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate hain
hUm charaghoan ki tarah shaam se jal jaate hain


bach nikalate hain agar aatish-e-sayyaad se hum
sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hain


Khudnumaai to nahi shevaa-e-arabaab-e-wafa
jinko jalnaa ho wo aaraaam se jal jaate hain


shama jis aag me jalti hai numaaish ke liye
hum usi aag me gumnaam se jal jaate hain


**jab bhi aata hai meraa naam tere naam ke saath
jaane kyun log mere naam se jal jaate hain**

No comments:

Post a Comment